Category Archives: Hindi Mother’s day SMS

Hindi Mother’s day SMS

Maa se rishta aisa banaya jaae…


Maa se rishta aisa banaya jaae,
Jisko nigaaho me bithaya jae,
Rahe uska mera rishta kuch aisa ki
Wo agar udaas ho to humse bhi muskuraya na jaae…

Maa hai mohabbat ka naam


Maa hai mohabbat ka naam,
Maa ko hazaron salaam,
Karde fida zindagi,
Aaye jo bachon ke kaam.

Ye meri MAA k qadam choomti hai


About MAA:-

Dastan mere laad pyar ki Bas,
Ek Hasti k gird ghoomti hai,

Pyar JANNAT se is liye hay mujhey,
Ye meri MAA k qadam choomti hai.

Dua kon karay ga?


1 Din maa se pocha k
maa k marnay k baad,
dua kon karay ga?

Tu maa boli!
Samandar sookhnay k baad bhi
rait mein nami reh jati hay

Faqat piyar meri maa


Is zulm ki duniya main faqat piyar meri maa,
Hay meray liye saya-e-dewar meri maa,
Nafrat k jazeron say mohabbat ki hadon tuk,
Bus piyar hay han piyar hay bus piyar meri maan…